Featured

Taiwan Travel And Tourism In Urdu - History In urdu - Documentary In Urdu - Justuju Ka Safar

Thanks! Share it with your friends!

You disliked this video. Thanks for the feedback!

Added by vindheim
171 Views
watch in dis video, Taiwan Travel And Tourism In Urdu - History In urdu - Documentary In Urdu plz subscribe my channel Justuju Ka Safar
taiwan taiwan
Taiwan Documentary In Urdu -
nazreen !
–apne parcham ke khobsorat rangon ki terhan yeh riyasat bhi bohat munfarid hai. justojoo ke safar mein aaj hum –apne doston ko taiwan ki sair par le jarahay hain uskay dilkash manazair, rangeen raatain اورسانپ ke pakwaan yeh sab dekhnay se pehlay naye anay walay doston se guzarish hai ke woh channel ko subscribe karkay sath mojood bail ke button ko bhi daba den .
nazreen !
taiwan jamhooria chain ki do intizami تقسیمات mein se aik hai. is ki kal آبادی23 laakh 46 hazaar 177 afraad par mushtamil hai aur uska kal Raqba 36191 murabba kilometer hai. uski currency ka naam taiwan dollar hai. aur yeh chain ki sab se ziyada Zar mubadla kamanay wali riyasat hai .
taipei :
nazreen !
yeh taiwan ka dar-ul-khilafa tai be hai yahan zindagi hamesha hansti muskarati nazar aati hai. is ilaqay ke log waza daar honay ke sath sath hans mukh aur khush ikhlaq hain. waisay to yahan bohat saaray fitri aur ghair fitri awamil karfrma n rehtay hain magar is shehar ki sab se khobsorat riwayat rait ke mujasmay hain. fulong few loving ke saahil par rait ke mujasmay bananay ka salana muqablon کاانعقاد kya jata hai jo ke bain al aqwami satah par kaafi shohrat ka haamil hai. guzashta saal mujasma saazi ke muqablon mein 16 mumalik ke maahir mujasma sazoon ke sath sath muqami mujasma saaz bhi is mein barh charh kar hissa letay hain. is muqablay mein jeetnay walay afraad ko 33 se 35 ہزارتک Amrici dollar zay inaam ke tor par diye jatay hain. guzashta saal das din ke douran mahireen ne rait ke kal 77 mujasmay banaye .
yushan national park
khawateen o hazraat !
yeh taiwan ka sab se bara aur wasee park hai. magar park ka markazi hissa intehai khobsorat aur qabil rashk hai uskay pahoron par jami barf sardi mein Sooraj ki kirnoon se aik dilfaraib samaa bandh deti hai aur yahan mojood pahoron ki oonchai 3952 meter tak record ki gayi hai. is park mein daakhil honay ke liye hamein do qisam ke ijazat naamon ki zaroorat padtee hai. aik barf posh khobsorat pahoron ki chotyon par charhne ke liye aur dosra park mein ghoom phir kar anwaa wa Qassam ke qudrati nazaron se lutaf andoz honay ke liye. is park mein phoolon ki un ginat kasmain mojood hain aur phoolon ki terhan rang baranghay parinday bhi is park ki khoubsurti ka husn dobala kar dete hain. sir par aasman ki niilii chadar aur neechay sabzay par barf ki hukmarani har dekhnay wali aankh ko warta herat mein mubtala kar deti hai. yeh khobsorat park charon atraaf se be panah jharion ke jhurmat mein chhupa sun-hwa hai .


is ke andar aik police station bhi banaya gaya hai. park mein more aur teetar ki aawazian suneney walon ko masroor kar deti hain. is park ki intizamia nihayat munazzam aur khush ikhlaq afraad par mushtamil hai. aur yahan har qisam ke janwar bhi paye jatay hain. is park mein kharidari ke liye chhootey chhootey marakaz bhi qaim hain jahan din bhar khareed o farokht ka bazaar garam rehta hai. yahan intehai munasib qeematon par bachon ke khilonon se le kar zaroriat zindagi ki tamam cheeze ba aasani dastyab hoti hain. yeh tamam awamil, mil kar is park ke husn ko chaar chaand laga dete hain. nazreen yahan hum آپکوسیر ke sath sath herat angaiz maloomat se bhi aagah karna chahtay hain. tai be mein waqay reserch center aplayid sciences ke shoba ne aik zabardast karnaama sir injaam diya hai. tehqiqati team ne aik jhaari numa pouday se roshni haasil karne kakamyab tajurbah kya hai. is shoba ke sarbarah yan sun so ki zair nigrani mohqiqeen ne din raat aik kar ke is khawab ko haqeeqat ka roop diya hai. shamsi tawanai ki terhan ab hum poudoun se bhi roshni haasil kar saken ge. jis par mazeed kaam jari hai .
nazreen !
taiwan mein zindagi hamesha taro taaza nazar aati hai yahan raat gaye mahfilen, dukanain, maizn khanaay aur raqs o Surood ki mahfilen jawaa rehti hain jahan naachti jawania aur thar tharatay jism anay walon ki jibin khaali karne mein masroof hain. har taraf insanon ka hajhoom nazar aata hai. sharaab ki botelain aur shabab ki masti raat ka husn dobala kar dete hain. yahan ki nojawan nasal apni khusihyan haasil karne ke liye har had se tajawaz karti nazar aati hai. taiwan ke pakwaan zayega daar honay ke sath sath mukhtalif aur ajeeb bhi hain. yahan ki sab se Marghoob ghiza saanp ka soop samjha jata hai. aur soop baichnay walay thelon ke گردلوگوں ki lambi qatarain nazar aati hain .
Commenting disabled.